Mein aur Meri tanhai...
Aksar yeh baatein karte hai Tum hoti to kaisa hota,
Tum yeh kahti, tum woh kahti,
Tum is baat pe hairaaan hoti,
Tum us baat pe kitna hasti,
Tum hoti to aisa hota,
Tum hoti to waisa hota,
Main aur meri tanhaiyan - aksar yeh baatain karte hain,
Yeh raat hai ya tumhari zulfain khuli hui hain,
Hai chandni ya tumhari nazron se meri raatain dhuli hui hain,
Yeh chaand hai ya tumhara kangan, sitarain hain ya tumhara aanchal,
Hawa ka jhoka hai ya tumhare badan ki khushboo,
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut, ke tumne chupke se kuch kaha hai,
Yeh sonchta hoon main kab se gum sum - Ke jab ke mujhko yeh bhi khabar hai,
Ke tum nahi ho, kaheen nahi ho,......magar yeh dil hai ke kah raha hai,
Ke tum yaheen ho, yaheen kaheen ho !,
Majbooriyon ki haalat, idhar bhi hai, udhar bhi,
Tanhaye ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi,
Kahne ko bohot kuch hai magar kis se kahe hum,
Kab tak yoon hi khamosh rahain aur sahe hum,
Dil kahta hai duniya ki har ek rasam uthaa dain,
Diwar jo hum dono main hai aaj giraa dain,
Kya dil main sulagte rahain, logon ko bata dain,
Haan hum ko Mohabbat hai - Mohabbat hai - Mohabbat,
Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi...... ,
Sab ko bata dain......... ,
Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile,
Jis Tarah Sukhay Hue Patte Kitabon Main Mile,
Dhoond Ujray Hue Logon Main Wafa Ke Moti2,
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Main Mile ,
Ghum-e-Duniya Bhi Ghum-e-yaar Main Shamil Kar Loon,
Nasha Barhta Hai Sharabain Jo Sharabon Main Mile,
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa,
Dono Insaan Hain To Kyon Hijabon Main Mile,
Aaj Hum Dar Ye Khainchainge Jin Baton Par,
Kya Ajub Kal Woh Zamane Ko Nasibon Main Mile,
Ab Na Woh Hain, Na Woh Tu Hai, Na Woh Maze Hain Faraz,
Jaise Do Shakhs Tamanna Ke Sailabon Main Mile
Main aur meri tanhaiyan - aksar yeh baatain karte hain...
oye kamaal kar ditta amitabh unkle aur unki tanhai bhi kuch aise hi batein karte the :P
ReplyDeleteek dum same to same
arree yee amitabh unkle ki hi kahani hai....
ReplyDeletemaine apni thodi na boli :P